Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6212f48613f4e448cd85431330073877, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein - Mohammad Ahmad Ramz Poetry In English - Darsaal

Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein

us ke junun ka KHwab hai kin tabiron mein

achchha wo lagta hai jakDa zanjiron mein

ab to mere lahu tak baat pahunchti hai

kaun sa rang bharun us ki taswiron mein

ban jate hain ek KHabar Dhah jaane ki

apna shumar bhi hai kachchi tamiron mein

us ka tarkash KHali hone wala hai

mere nam ka tir hai kitne tiron mein

mujh se sikho harf-o-nawa ki jadugari

DhunD rahe ho kya andhi tahriron mein

mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlim-e-suKHan

ek duniya ye bhi hai meri jagiron mein

(535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Uske Junun Ka KHwab Hai Kin Tabiron Mein in PDF.