Thi Meri Ham-safri Ek Dua Uske Liye
thi meri ham-safri ek dua us ke liye
ye bichhaDna hai baDi saKHt saza us ke liye
ab koi silsila-e-tark-o-talab hi na raha
aankh mein ek bhi manzar na ruka us ke liye
us ke KHwabon ko na de mausam-e-tabir mera
koi paigham na le jae saba us ke liye
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi taswir mukammal na bana us ke liye
main use bhul bhi jaun magar ai be-KHabari
meri chup us ke liye meri nawa us ke liye
'ramz' de jae to kya rang koi mera lahu
'ramz' pis jae to kiya barg-e-hina us ke liye
(566) Peoples Rate This