Sulagne Rakh Ho Jaane Ka Dar Kyun Lag Raha Hai
sulagne rakh ho jaane ka Dar kyun lag raha hai
dahakti aag sa gardan pe sar kyun lag raha hai
lahu se aabyari karne walo kuchh to socho
ye sara bagh be-barg-o-samar kyun lag raha hai
parind-e-fikr par hain saKHt kyun us ki uDanen
musafir aaj be-samt-o-safar kyun lag raha hai
ye kis KHwahish ka madd-o-jazr hain meri nigahen
mujhe sara samundar ek bhanwar kyun lag raha hai
abhi raushan hain kuchh naqsh-o-nigar-e-KHud-farebi
mahl us ki rifaqat ka khanDar kyun lag raha hai
mujhe kis mauj mein laya hai istighraq mera
main jis qatre ko chhuta hun guhar kyun lag raha hai
main hun us par ubharte Dubte manzar mein jaise
idhar jo hone wala tha udhar kyun lag raha hai
(599) Peoples Rate This