Nawah-e-dil Mein Ye Meri Misal Jalte Rahen
nawah-e-dil mein ye meri misal jalte rahen
KHas-o-gulab nabaat-o-nihaal jalte rahen
kabhi na sard paDe garmi-e-nashat-e-nafas
tamam paikar-e-fikr-o-KHayal jalte rahen
ye jabr-e-waqt hai kaisa ki us ki yaad ke chand
ugen to phir sar-e-shaKH-e-malal jalte rahen
hawa-e-hijr abhi tak hai mahw-e-KHwab kahin
fasil-e-jaan pe charagh-e-visal jalte rahen
yunhi riwayat-e-tir-o-kaman rahe raushan
nuqush-e-wahshat-e-pa-e-ghazal jalte rahen
lage to qasr-e-shab-o-roz mein bhi aag lage
jalen to sadiyon talak mah-o-sal jalte rahen
hum us ki rah mein raushan kiye gae hain so 'ramz'
karen na us se koi arz-e-haal jalte rahen
(730) Peoples Rate This