Muhit-e-pak Pe Mauj-e-hunar Mein Raushan Hun
muhit-e-pak pe mauj-e-hunar mein raushan hun
main e'tibar-e-kaf-e-kuza-e-gar mein raushan hun
main hashiya hun tere jalwa-zar-e-hairat ka
main tere sath tere baam-o-dar mein raushan hun
main aap-apna ujala hun shab ke daman par
main aap-apni dua-e-sahar mein raushan hun
bujha sakegi na mujh ko hawa-e-sud-o-ziyan
main taq-e-ma-hasal-e-KHair-o-shar mein raushan hun
uTha ke le gaya mujh ko giroh-e-nara-kashan
main inqalab ki jhuTi KHabar mein raushan hun
wahi hai kohnagi-e-zulmat-e-KHala aur main
nai uDan nae baal-o-par mein raushan hun
na jaane kab se hun aatish-ba-jaan tamasha kar
tere liye main teri rah-guzar mein raushan hun
chamak rahi hai udasi mere hawale se
main 'ramz' ab bhi kisi chashm-e-tar mein raushan hun
(585) Peoples Rate This