Mere Liye Kya Shor Bhanwar Ka Kya Maujon Ki Rawani
mere liye kya shor bhanwar ka kya maujon ki rawani
meri pyas ke sahil tak hai tera bahta pani
sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani
aaj hun main apne bistar par karwaT karwaT bojhal
meri nind se aa kar uljhi ek be-rang kahani
milna-jalna rasm hi Thahra phir kya shikwa-shikayat
taza zaKHm koi de jao chhoDo baat purani
main hun ek dilchasp tamasha duniya hai ek mela
mera chehra ban jati hai har surat an-jaani
panchhi ke do paron ke niche simTa sara samundar
apne zarf ki gahrai mein Dub gai tughyani
aaj chalo aawara phiren hum shahr mein galiyon galiyon
'ramz' ho kuchh tum bhi man-mauji hum bhi hain sailani
(545) Peoples Rate This