Lafz-o-bayan Ke Pas-manzar Tak Ek Qaus-e-imkani Aur
lafz-o-bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur
meri jast-e-hunar ko likh de koi samt-e-maani aur
bast-o-kushad-bazad kya hai sanson ki halchal ke siwa
chand ghira ho jab maujon mein baDhti hai tughyani aur
sehr-e-sawad-e-bahr-o-bar se kitne tufan ubharte hain
ab is shorish-e-ab-o-gil ko miTTi aur na pani aur
dasht-e-nawa par chha jaega is ke baad ek lamba sukut
main chautha darwesh hun mujh se sun lo ek kahani aur
main hun ghazal-e-mushk-gazida mera safar hai tir ke sath
jab hoti hai niz ye KHushbu baDhti hai jaulani aur
umr ke gharb-e-siyah mein kaisa Dub raha hai mehr-e-shabab
dekh sako to dekh lo dam-bhar 'ramz' ye sham suhani aur
(521) Peoples Rate This