KHala Mein Ho Irtiash Jaise Kuchh Aisa Manzar Hai Aur Main Hun

KHala mein ho irtiash jaise kuchh aisa manzar hai aur main hun

ye karb-e-taKHliq ka dhuan hai jo mere andar hai aur main hun

hazar rangon mein apni lahron pe sham ubharti hai Dubti hai

chahaar atraf aaina hain wo zulf-e-abtar hai aur main hun

mere siwa kuchh nahin kahin bhi azal abad ek KHwab-e-masti

zamin qadam-bhar hai mere niche falak nigah-bhar hai aur main hun

siyah girdab si KHala mein kisi ko to Dubna hai aaKHir

safar ka sathi bas ek sitara mere barabar hai aur main hun

mujhe KHabar hai ki 'ramz' kitni samaaten zaKHm zaKHm hongi

lahu ki hain kuchh hikayaten aur zaban-e-KHanjar hai aur main hun

(627) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHala Mein Ho Irtiash Jaise Kuchh Aisa Manzar Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. KHala Mein Ho Irtiash Jaise Kuchh Aisa Manzar Hai Aur Main Hun is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem KHala Mein Ho Irtiash Jaise Kuchh Aisa Manzar Hai Aur Main Hun for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download KHala Mein Ho Irtiash Jaise Kuchh Aisa Manzar Hai Aur Main Hun in PDF.