Ek Gahri Chup Andar Andar Ruh Mein Utri Jae
ek gahri chup andar andar ruh mein utri jae
la-fani ho jaun ye KHwahish pal pal baDhti jae
ye patthar si tanhai ye bhaari bojhal raat
jaane kaisa bojh hai dil par nas nas TuTi jae
ek naya an-dekha manzar mujh se kare kalam
ek nai an-jaani KHushbu mujh se lipTi jae
us ka sath ek uljhi Dor hai bhagte lamhon ki
jitna suljhaun main us ko utna ulajhti jae
sare naqsh tamannaon ke raushan hote jaen
khiDki mein us ki parchhain gahri hoti jae
'ramz' adhure KHwabon ki ye ghaTti baDhti chhanw
tum se dekhi jae to dekho mujh se na dekhi jae
(1326) Peoples Rate This