Diye MunDeron Ke Raushan Qatar Hone Lage
diye munDeron ke raushan qatar hone lage
lawen tarashne wale farar hone lage
dabiz pardon pe manus lahren uThne lagi
hawa ke hath darichon se par hone lage
adu bhi bharne lage dam teri rifaqat ka
ab aise-waise tamashe bhi yar hone lage
ab aane wali kisi rut ka intizar ho kya
jaDon se apni shajar daghdar hone lage
falak ke purze ab uDne mein koi der nahin
pahaD sarke zaminon mein ghaar hone lage
khula mahaz to hogi hamari paspai
hum apne KHauf-e-darun ka shikar hone lage
safar hai saKHt bahut saKHt agle moD ke baad
chamak rahe the jo manzar ghubar hone lage
na koi mauj-e-tamasha na aks-e-hairat 'ramz'
hamare aaine be-e'tibar hone lage
(541) Peoples Rate This