ChhoD Gaya Wo Naqsh-e-hunar Apna Tughyani Mein
chhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein
ek shanawar tha jo utra gahre pani mein
phaila hua tha dam-e-falak bhi aaina-surat
us ne bhi parwaz bhari thi kuchh hairani mein
dud-e-charagh-e-subh mein jaise sahmi simTi raat
raushan hai fani manzar us ka la-fani mein
thaki thaki aankhon mein pareshan us ka KHwab-e-visal
hijr ki lambi raat kaTi bas ek kahani mein
saya-e-arz-o-talab ko raunda us ne pairon se
us ki ana ka suraj tha us ki peshani mein
ab us ke izhaar ko dena chahe jo bhi nam
us ko jo kahna tha kah gaya apni bani mein
ek ek kar ke 'ramz' bujhe jate hain sare charagh
main hun apna KHauf apni baDhti virani mein
(517) Peoples Rate This