BhaTak Jaega Dil Ayyari-e-idrak Se Niklen
bhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen
ye zanjir-e-giran toDen hum is pechaak se niklen
na maut aae jise aisa koi kirdar ho apna
kahani ban ke aisi dida-e-namnak se niklen
yahi parcham nishan-e-lashkar-e-baatil na ban jae
hum ek KHanjar sahi lekin kaf-e-saffak se niklen
saba ban kar abhi karne hain tai kitne safar hum ko
hum is miTTi ki KHushbu hain tilism-e-chaak se niklen
hamari ham-rahi tak hain sitare hon ki gul-buTe
zamin par ye ugen ya parda-e-aflak se niklen
sar-e-sahra abhi raqs-e-ghubar-e-qais baqi hai
abhi kuchh aur lailaen harim-e-KHak se niklen
janab-e-'ramz' be-masraf rifaqat ka junun kab tak
sawad-e-gul mein aap aaen KHas-o-KHashak se niklen
(511) Peoples Rate This