Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain
ban-sanwar kar jo wo bazar nikal jate hain
dekhne walon ke jazbaat machal jate hain
har taraf hota hai mushtaq nigahon ka hujum
dil taDapte hue sinon se nikal jate hain
barq girti hai jidhar aankh uTha kar dekhen
hiddat-e-husn se aasab pighal jate hain
achchhe lagte hain hasin log hamare dil ko
gham ke mare hue hum log bahal jate hain
sair ko aate hain gulshan mein raqibon ki tarah
phul sare wo gulistan ke masal jate hain
pur-kashish jitne hain us shoKH jawani ke nuqush
sare naqshe mere ashaar mein Dhal jate hain
jaane kyun log taraste hain bahaaron ke liye
hum to ehsas ki shiddat hi se jal jate hain
ek halchal si macha deti hai surat un ki
chikni miTTi pe mere panw phisal jate hain
raat bhar ye dil-e-wahshi nahin sota 'saqib'
soch ke rang andhere mein badal jate hain
(563) Peoples Rate This