Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai
sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai
mujh se milne wo mazafat mein aa jata hai
fasl-e-gul aane pe ho jati hai virani dur
dil KHarabe se KHarabaat mein aa jata hai
kabhi danista ada ho kabhi na-danista
nam tera meri har baat mein aa jata hai
jism ki nashw-o-numa surat-e-ashiya-e-zamin
ru-e-KHuban falakiyyat mein aa jata hai
ishq ka sabr-o-tahammul hi se qaem hai waqar
nala fariyaad KHurafat mein aa jata hai
KHidmat-e-KHalq se hoti hai KHuda ki KHidmat
ishq maKHluq-e-ibaadat mein aa jata hai
banda ho jata hai jab KHugar-e-mushkil 'abid'
zaiqa talKHi-e-haalat mein aa jata hai
(704) Peoples Rate This