Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha
mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha
yaqin murda hua par guman zinda raha
jahan wo rahta tha ab us ki yaad rahti hai
makin baghair bhi goya makan zinda raha
bas us ke hone ka ehsas hai gharaz ki KHuda
wajud wahime ke darmiyan zinda raha
suKHan se faeda kuchh ho to koi bole bhi
main jis jagah bhi raha be-zaban zinda raha
tamam umr kaTi bebasi ke aalam mein
yun kahne ke liye buDha jawan zinda raha
wo jab talak raha mahaul KHush-gawar raha
wo bazm mein sifat-e-zafran zinda raha
(569) Peoples Rate This