Kisi Goshe Mein Duniya Ke Makin Hote Hue Bhi
kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi
wo mere sath rahta hai nahin hote hue bhi
musalsal aazmaish mein mujhe zalim ne rakkha
kiya main ne nahin sajda jabin hote hue bhi
musalsal marte rahte hain shab-KHun zehn-o-dil par
azizan raftagan zer-e-zamin hote hue bhi
guzari hum ne sari zindagi ishq-e-butan mein
mukammal us ki wahdat par yaqin hote hue bhi
liye phirta hai qatil hath mein KHanjar barahna
muhayya pairahan mein aastin hote hue bhi
main zarra KHak ka hun wo sitara aasman ka
wo mujh se dur hai mere qarin hote hue bhi
na-jaane kaun si miTTi ka 'abid' bhi bana hai
hamesha KHush nazar aaya hazin hote hue bhi
(577) Peoples Rate This