Jaanne Ke Liye Betab Tha Aghyar Ka Haal
jaanne ke liye betab tha aghyar ka haal
us ne puchha na hamare dil-e-bimar ka haal
shama bhi jalne pe aamada thi parwana bhi
ek jaisa hi tha matlub-o-talabgar ka haal
sogwari mein hamari the barabar ke sharik
hum se milta tha hamare dar-o-diwar ka haal
sarw-e-timsal hai qamat mein shabahat mein gulab
kya bayan samne us ke karen gulzar ka haal
us taraf jo bhi gaya lauT ke aaya na kabhi
puchhiye kis se maqam-e-rasam-o-dar ka haal
sab ne dil tham liya dekh ke us ko 'abid'
ek hi jaisa hua kafir-o-dinda ka haal
(566) Peoples Rate This