Nazara Karun Kaise Teri Jalwagari Ka
nazara karun kaise teri jalwagari ka
parda abhi hail hai meri be-basari ka
uslub naya ras nahin chaaragari ka
bimar pe aalam hai wahi be-KHabari ka
chaska use uf paD hi gaya dar-ba-dari ka
kya kijiye insan ki is aashufta-sari ka
ye rah-e-mohabbat hai ye kanTon se bhari hai
maqdur nahin sab ko meri ham-safari ka
hamdam na uDa jama-e-aKHlaq ki dhajji
diwanon ko hota hai junun jama-dari ka
dekha hai ki khulte nahin dil ahl-e-duwal ke
bharta nahin munh kasa-e-daryuza-gari ka
(644) Peoples Rate This