Manzil Mile Be-hausla-e-jaan Nahin Dekha
manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha
hote hue aisa to kabhi han nahin dekha
ghair aae gae phul chune bu bhi uDai
hum aise ki apna hi gulistan nahin dekha
daman bhi salamat hai gareban bhi salamat
ai josh-e-junun tujh ko numayan nahin dekha
hain tere tasallut mein fazaen bhi zamin bhi
tujh mein hi magar zauq-e-sulaiman nahin dekha
hai chashm-e-tasawwur bhi ye darmanda-o-ajiz
tujh ko kabhi ai jalwa-e-pinhan nahin dekha
ehsas-e-ziyan wae ki hai ru-ba-tanazzul
kal tha jo use aaj pasheman nahin dekha
kitne hi suKHan-war-o-suKHan-dan 'nazar' aise
jin ko kabhi mahfil mein ghazal-KHwan nahin dekha
(497) Peoples Rate This