Jahan Mein Jins-e-wafa Kam Hai Kal-adam To Nahin
jahan mein jins-e-wafa kam hai kal-adam to nahin
hamare hausla-e-dil ko ye bhi kam to nahin
hum ek sans mein pi jaen jam-e-jam to nahin
sarishk-e-gham hain piyenge par ek dam to nahin
tumhaare qahr ki KHatir akele hum to nahin
nigah-e-mehr bhi Dalo tumhein qasam to nahin
KHuda ka ghar hai mera dil yahan sanam to nahin
ye mai-kada to nahin hai ye kuchh haram to nahin
mere ghamon ka tujhe kya lagega andaza
ki tujh ko apne hi gham hain parae gham to nahin
mere KHayal mein pechidgi sahi lekin
tumhaari zulfon ki manind pech-o-KHam to nahin
junun nahin hamein pichhe lagen jo duniya ke
KHuda ke bande hain hum banda-e-shikam to nahin
hazar kaif bahisht-e-barin mein hain lekin
dil apna jis ka hai KHugar wo kaif-e-gham to nahin
lagegi der sambhalne mein laghzish0-e-dil se
sambhal khaDe hon nazar laghzish-e-qadam to nahin
(607) Peoples Rate This