Fitna-za Fikr Har Ek Dil Se Nikal Achchha Hai
fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai
aae gar husn-e-KHayal us ko sambhaal achchha hai
mere ehsas-e-KHudi par na koi zad aae
tu jo de de mujhe be-harf sawal achchha hai
aap manen na bura gar to kahun ai naseh
sahab-e-qal se to sahib-e-haal achchha hai
be-KHayali na rahe KHam-KHayali se bacho
dil mein bas jae jo un ka hi KHayal achchha hai
tere ruKH par ho masarrat to mera dil masrur
tere chehre pe na ho gard-e-malal achchha hai
pursish-e-gham bhi nahin niz mulaqat nahin
aap ko hum se gharibon ka KHayal achchha hai
koi kahta hai mubarak ho tujhe daur-e-firaq
main samajhta hun magar roz-e-visal achchha hai
mulk-giri ki hawas mein ho to fitna KHud hi
aur fitna ko miTae to qital achchha hai
be-niyaz-e-gham-e-uqba jo 'nazar' tujh ko kare
aal-o-aulad wo achchhi na wo mal achchha hai
(508) Peoples Rate This