Chehra Un Ka Subh-e-raushan Gesu Jaise Kali Raat
chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat
baaten un ki subhan-allah goya quran ki aayat
ruKH ka jalwa pinhan rakkha paida kar ke maKHluqat
husn-e-zahir sab ne dekha kis ne dekha husn-e-zat
jazbe ki sab garmi sardi bahte ashkon ki barsat
hum ne sare mausam dekhe hum par guzre sab haalat
gham ki sari chaalen gahri bachte bachte aaKHir-kar
dekha is bechaare dil ne bebas ho kar khai mat
jite-ji kab duniya puchhe marte hi is darja pyar
hathon-hath uThae duniya lae ashkon ki saughat
husn-e-KHud-bin jis ki fitrat sheKHi shoKHi zulm-o-jaur
dam-e-ulfat mein phans jae meri aankhon dekhi baat
umr-e-payan ki manzil mein ahd-e-mazi aae yaad
ab bhi 'nazar' mein raqsan mere bhule bachpan ke lamhat
(548) Peoples Rate This