Ye Lau Kaisi Hai Jo Ek Sans Bhi Maddham Nahin Hoti
ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti
bhulane par bhi zalim yaad us ki kam nahin hoti
ye matlab-ashna duniya ye zalim bewafa duniya
sharik-e-aish kar lije sharik-e-gham nahin hoti
adam ke jaane wale qafile din-raat chalte hain
magar is anjuman ki dilkashi kuchh kam nahin hoti
na puchh ai ham-nashin rudad-ha-e-sham-e-gham hum se
qayamat ki sahar hoti hai sham-e-gham nahin hoti
bhulaya hai mujhe tu ne teri barham-mizaji ne
magar bedard teri yaad phir bhi kam nahin hoti
nahin waqif tu ai dil aatish-e-soz-e-mohabbat se
ye daulat jis qadar aati hai ghar mein kam nahin hoti
'safir' ab tak to rudad-e-mohabbat KHam hai teri
abhi to aankh bhi fart-e-alam se nam nahin hoti
(550) Peoples Rate This