Un Ke Jalwe Sahar-o-sham Tak Aa Pahunche Hain
un ke jalwe sahar-o-sham tak aa pahunche hain
mere aaghaz ab anjam tak aa pahunche hain
hazrat-e-KHizr pareshan na ho aaram karen
hum bhi ab manzil-e-aram tak aa pahunche hain
tohmat-e-ishq mein hum aaj akele to nahin
wo bhi ab markaz-e-ilzam tak aa pahunche hain
mai-kasho muzda-e-masti ki janab-e-waiz
baDh ke ab tazkira-e-jam tak aa pahunche hain
us ko meraj-e-wafa kyun na kahun jab akasr
bil-irada wo mere nam tak aa pahunche hain
ye mera zabt ki main apni jagah hun mohtat
dar-haqiqat mujhe paigham tak aa pahunche hain
dekh kar tang-dili bazm mein saqi ki 'safir'
rind bhi jurat-e-nakaam tak aa pahunche hain
(557) Peoples Rate This