Ulfat Ho To Ulfat Ke Sahaare Bhi Bahut Hain
ulfat ho to ulfat ke sahaare bhi bahut hain
aankhon mein mohabbat ke ishaare bhi bahut hain
himmat hai to mayus na ho Dubne wale
tufan hain maujon ke sahaare bhi bahut hain
ai jalwa-e-rangin ke ziya dekhne walo
hon aankh agar un ke nazare bhi bahut hain
apnon ne to mear-e-wafa hi na bataya
is rah mein ehsan tumhaare bhi bahut hain
ji bhar ke zara dekh to lun dur se gul-rang
saqi mujhe itne hi sahaare bhi bahut hain
us bazm ki ranginiyan hain did ke qabil
ek chand agar hai to sitare bhi bahut hain
hai kaun 'safir' aisa jo ban jae sahaara
dil toDne wale to hamare bhi bahut hain
(546) Peoples Rate This