Na Ho Marzi KHuda Ki To Kisi Se Kuchh Nahin Hota
na ho marzi KHuda ki to kisi se kuchh nahin hota
jo chahe aadmi to aadmi se kuchh nahin hota
kahan ke dost kaise aqraba jab waqt paDta hai
musibat mein kisi ki dosti se kuchh nahin hota
amal ki zindagani dar-haqiqat zindagani hai
jiye jao to KHali zindagi se kuchh nahin hota
ajal aaegi jaan jaegi ek saat-muayyan par
aziz-o-aqriba ki pairwi se kuchh nahin hota
adab ke qadr-dan bazm-e-adab se uThte jate hain
lo rakkho shairi ab shairi se kuchh nahin hota
meri haalat ye kuchh maKHsus dil bechain hain lekin
ye mushkil hai kisi ki bekali se kuchh nahin hota
'safir' is zindagi mein waqt bhi tewar badalta
na ghabrao kisi ki dushmani se kuchh nahin hota
(556) Peoples Rate This