Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a7fd7523df342074b3fcbe8f505aeb29, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai - Mohammad Abbas Safiir Poetry In English - Darsaal

Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai

hijr mein dil ka dagh jalta hai

be-kasi ka charagh jalta hai

dil jalate ho sard-mehri se

is tarah bhi charagh jalta hai

meri aankhon mein un ka jalwa hai

aaine mein charagh jalta hai

dam hai aankhon mein nabzen Dubi hain

dhima dhima charagh jalta hai

shola-e-ah ye nahin hai 'safir'

hasraton ka charagh jalta hai

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Hijr Mein Dil Ka Dagh Jalta Hai in PDF.