Dil Ki Mayus Tamannaon Ko Mar Jaane Do

dil ki mayus tamannaon ko mar jaane do

dard ko aaKHiri manzil se guzar jaane do

main ne kab saghar-o-sahba se kiya hai inkar

nashsha-e-baada-e-hasti to utar jaane do

jis ki ai ahl-e-chaman ki hai lahu se tamir

ab wo shiraaza-e-gulshan na bikhar jaane do

chaar tinkon ki bhi tamir hai koi tamir

fasl-e-gul aaegi rakh lenge bikhar jaane do

lazzat-e-gham se taDapne mein maza aata hai

lazzat-e-gham se tabiat meri bhar jaane do

inqalab aaega koi ki bahaar aaegi

KHal-o-KHad chehra-e-giti ke nikhar jaane do

hum se badle hue tewar hain zamane ke 'safir'

us ne dekhi hai hamari bhi nazar jaane do

(598) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Mayus Tamannaon Ko Mar Jaane Do In English By Famous Poet Mohammad Abbas Safiir. Dil Ki Mayus Tamannaon Ko Mar Jaane Do is written by Mohammad Abbas Safiir. Read famous Poem Dil Ki Mayus Tamannaon Ko Mar Jaane Do for youth and Student by Mohammad Abbas Safiir. Free Download Dil Ki Mayus Tamannaon Ko Mar Jaane Do in PDF.