BaDi Ibrat Ki Manzil Hai Zamin Gor-e-ghariban Ki
baDi ibrat ki manzil hai zamin gor-e-ghariban ki
yahan apni haqiqat par nazar paDti hai insan ki
yahi dhun thi kahin mera dil-e-gum-gashta mil jae
isi wahshat mein barson KHak chhani ku-e-jaanan ki
jahan nabzen rukin dil sard ho do hichkiyan aain
samajh lije ki manzil aa gai gor-e-ghariban ki
na jaega mere dil se KHayal-e-abru-e-dil-bar
ki teghon hi ke sae mein to hai jannat musalman ki
fana-e-ishq ho kar zinda-e-jawed hota hai
miTa kar dekhiye hasti nahin miTti hai insan ki
yahan rone se ho maqsud hasil ghair-mumkin hai
chalo ab shamen bhi bujhne lagin gor-e-ghariban ki
'safir' ek KHwab thi ye chand roza zindagi apni
ajal se mil gai tabir is KHwab-e-pareshan ki
(654) Peoples Rate This