Aapko Gardish-e-ayyam Se Dar Lagta Hai
aap ko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai
aur hamein ishq ke anjam se Dar lagta hai
chashm-e-saqi ke ishaare mein nihan kya shai thi
hasrat-e-baada-e-gulfam se Dar lagta hai
zer-e-lab un ke tabassum se sukun mang to lun
apni hi jurat-e-nakaam se Dar lagta hai
nam jo aaTh-pahr wird-e-zaban rahta tha
ab ye wahshat hai usi nam se Dar lagta hai
hazrat-e-KHizar se thi rahbari ki KHwahish
ab usi KHwahish-e-nakaam se Dar lagta hai
manzilen ishq ki be-KHauf-o-KHatar tai kin hain
ab ye aalam hai ki har gam se Dar lagta hai
kyun wazifa sahar-o-sham kiya tark 'safir'
kyun KHyal-e-sahr-o-sham se Dar lagta hai
(582) Peoples Rate This