Wahi Madar-e-tamanna Wahi Sitara-e-dil
wahi madar-e-tamanna wahi sitara-e-dil
fareb-KHurda-e-mazi-o-haal-o-mustaqbil
tilism-KHana-e-hasrat mein gardishen kab tak
wo ism de ki ho aaseb-e-justuju baatil
dil-e-kushada mein mere ho anjuman-ara
adu ba-rang-e-kudurat jahan na ho daKHil
hazar shoala lapakti hai aarzu ab bhi
mere lahu se charaghan hai kucha-e-qatil
rah-e-wafa ke musafir ki bebasi mat puchh
hamein uThae hue chal rahi hai KHud manzil
KHushi ki baat bhi ab sogwar karti hai
wo mehrban bhi ab ho to is se kya hasil
zamin pe dil ki lahu ke daraKHt hain goya
ye sher hote nahin aasman se nazil
(652) Peoples Rate This