Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6589d70c9f46c346cd98eb5455993a86, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai - Mohammad Aazam Poetry In English - Darsaal

Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai

us se mil kar bhi KHalish dil mein raha karti hai

wasl ko hijr se kya chiz juda karti hai

wo na manega pa har shab koi mauhum si aas

ek diya ban ke dar-e-dil pe jala karti hai

auj-e-ausan pe chaDh chaDh ke mohabbat ki sharab

jab utarti hai to kuchh aur nasha karti hai

tujh mein kya baat hai ai dil ki wafa-kesh ye aql

meri bandi hai magar kaam tera karti hai

na-gahan panja-e-qatil se main kya chhuT gaya

us ki hasrat mere jine ki dua karti hai

aasmanon mein uDa karte hain phule phule

halke logon ke baDe kaam hawa karti hai

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Us Se Mil Kar Bhi KHalish Dil Mein Raha Karti Hai in PDF.