Talaf Karegi Kab Tak Aarzu Ki Jaan Aarzu
talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu
taDap rahi hai har taraf lahuluhan aarzu
phira ke dida-e-tapan mein mom ke mujassame
kahan kahan karegi did ka ziyan aarzu
zara sa hath kya laga habab sa bikhar gaya
jise samajh rahi thi ek aasman aarzu
tu chashm hi mein rah agar pasand hai kushadgi
ki dil hai tang aur is mein yak jahan aarzu
isi ke hain sabab se sab ye hijr ki saubaten
kahan se aa gai hamare darmiyan aarzu
tu aaftab hai main gul dua tere sukun ki
kisi ki shan qahr hai kisi ki shan aarzu
ilahi KHair itne sin pe aandhiyon ki dosti
abhi to sikh pai bhi nahin uDan aarzu
shajar hajar zamin aasman sab ko zoaf hai
magar ye ek jawan ki rahi jawan aarzu
(669) Peoples Rate This