Sab Hai Zer-e-bahs Jo Zahir Hai Ya Poshida Hai
sab hai zer-e-bahs jo zahir hai ya poshida hai
aur nazar se apni parda aankh ka bosida hai
jab mile tumar-e-agahi se fursat dekhna
kin tahon mein ramz-e-aql-e-na-rasa poshida hai
kaun sa aansu ho maqbul-e-buna-gosh-e-qubul
kis sadaf ko kya KHabar hai us mein kya poshida hai
be-aman is darja wahshat-KHez hai sai-e-junun
yak jahan sahra hamare zer-e-pa poshida hai
hum musafir aisi manzil ke hue jis ke liye
rasta zahir hai lekin fasla poshida hai
sarsar-e-hasti mein zinda hai abhi tak ek lau
shola-e-dil zer-e-daman-e-hawa poshida hai
ek aandhi KHak tak meri uDa kar le gai
main kahan hun sahibo ye majra poshida hai
(649) Peoples Rate This