Rakkha Tha Jise Dil Mein Wo Ab Hai Bhi Nahin Bhi
rakkha tha jise dil mein wo ab hai bhi nahin bhi
yunhi mere jine ka sabab hai bhi nahin bhi
pahuncha hai tere mahr se qutbain ka mausam
din tha to nahin bhi tha ye shab hai bhi nahin bhi
fariyaad ne sikhi hai teri waz-e-tabassum
is ruKH se ki sharminda-e-lab hai bhi nahin bhi
hairat-kada-e-dahr hai ek KHwab ka aalam
dekha jo is aalam mein ajab hai bhi nahin bhi
mil jae to katraun jo kho jae to DhunDun
ye kaisi talab hai ki talab hai bhi nahin bhi
ye hijr ki dozaKH hi bhali jaisi hai sab hai
is wasl ki jannat se ki sab hai bhi nahin bhi
(562) Peoples Rate This