Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3cebc382adf2bcadff0657909c4532bc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae - Mohammad Aazam Poetry In English - Darsaal

Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae

kuchh gharaz hum ko nahin hai ki kahan le jae

chal diye bas dil-e-diwana jahan le jae

wo gali KHuld se behtar hai bas itna sun kar

koi waqif ho to hum ko bhi wahan le jae

meri aawaz hui jati hai us ki aawaz

ab hai kya dur ki us tak ye fughan le jae

mauj-e-sarkash ko KHabar-dar kiya tha hum ne

us ko jaana tha jahan ju-e-rawan le jae

gul nahin denge kabhi bulbul-e-muhtaj ko zar

KHwah sarmaya ye sab baad-e-KHizan le jae

ishq mein us ke bas ek jaan hai baqi ye bhi

dekhiye kab ghazab-e-ham-watanan le jae

meri baaten hi KHush aati hain use jaise koi

kar ke aatish nazar-andaz dhuan le jae

(533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Kuchh Gharaz Hum Ko Nahin Hai Ki Kahan Le Jae in PDF.