Kaman Saunp Ke Dushman Ko Apne Lashkar Ki
kaman saunp ke dushman ko apne lashkar ki
kaha ki fath-o-zafar baat hai muqaddar ki
bulawa lai hawa-e-bahisht phir ek bar
tuyur jaanch karo apne apne shahpar ki
chalo rakh aaen wahan hum bhi apne sar ka gulab
suna hai bahuton ne us ki gali moattar ki
pata chala ki wahi hai nisab se bahar
mashaqqaton se jo main ne kitab azbar ki
ba-juz hawala-e-sad-zaKHm-e-be-nishan kya hai
ek aarzu ki jo dil se nikal bahar ki
pare hai surat-e-KHuban talash-e-mani se
mile na aab bhi kholen girah jo gauhar ki
hai muntazir pas-e-darwaza-fana shayad
jo ek bose mein chhine takan din bhar ki
(606) Peoples Rate This