Hum Aadam-zad Jo Hain Roz-e-awwal Se Kami Hai Ye
hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye
ki jo hai maut us ko jaante hain zindagi hai ye
jo manzar hai so aa kar muKHtalif hai sab ki aaankhon mein
phir aankhen dekhti hain kya tamasha didani hai ye
yahan dasht-e-talab mein ek main hun aur siwa mere
sarabon ko nichoDe ja rahi ek tishnagi hai ye
andhere dil ne ki thi aarzu us ke ujalon ki
meri aankhen hi chhine le raha hai raushni hai ye
us ek be-mehr se tark-e-talluq par nadamat kya
gawara kar liye kaise sitam sharmindagi hai ye
bahut dekha hai tum ne husn-e-sannai magar us ko
jo dekho to kahoge wah-wa barjastagi hai ye
kashish mardum ki ye hai ya numud-e-najm-e-aswad hai
wafur-e-nur hai ya intiha-e-tirgi hai ye
musafir daere ke hum guman-e-istaqamat mein
bahut aage nikal aae hain yani wapsi hai ye
(643) Peoples Rate This