Giran Tha Matn Mushkil Aur Bhi Tabir PaDh Lena
giran tha matn mushkil aur bhi tabir paDh lena
to aasan kar liya dil-KHwah ek tafsir paDh lena
guzishta shab ishaaron se likha kuchh chand par main ne
tumhein malum hoga phir bhi wo tahrir paDh lena
mahaarat ho gai chehron ko paDh paDh kar hamein itni
ki ab aasan hai chehre ki jagah taswir paDh lena
mulaem ungliyon ki har ibarat yaad hai mujh ko
har ek angushtari ko halqa-e-zanjir paDh lena
mili thi ek yahi shorish-zada dil ki amal-dari
so likh di hai tumhaare nam ye jagir paDh lena
agar tariKH kuchh alfaz likkhe agli sadiyon mein
to kya kya log ab hain qabil-e-tahrir paDh lena
mohabbat KHun ban kar jism mein dauDe to kya kahna
bas itna kah diya baqi kalam-e-'mir' paDh lena
(699) Peoples Rate This