Gae Hain Des Ko Hum Apne ChhoD Kar Hi Nahin
gae hain des ko hum apne chhoD kar hi nahin
muhajrat ke liye shart ab safar bhi nahin
isi jahan mein rahte hain KHub-ru aise
yaqin mujh ko hua us ko dekh kar bhi nahin
mere wajud mein ghul-mil ke kar gaya tanha
wo ek shaKHs jo aaya kabhi nazar bhi nahin
wo ek kitab gai thi dilon se taqon par
ab aisi dur hui hai ki taq par bhi nahin
gham aur KHushi nahin mauquf rone hansne par
aur in hawalon se izhaar mo'tabar bhi nahin
(540) Peoples Rate This