Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin
agar na manen na samho ki jaante hi nahin
zidon ki baat bhi hai kuchh mughaalate hi nahin
mutalibaat-e-mohabbat hain main hun aur tum ho
ajib hai ye musallas ki zawiye hi nahin
mere junun ke bharose par kah diya us ne
hum aae aap ke ghar par to aap the hi nahin
bayaz-e-dil ki karen to karen kahan islah
kitabat aisi hui hai ki hashiye hi nahin
isi muhit mein wapas palaT ke aana tha
to ban ke abr kabhi ja se hum uThe hi nahin
ujaD ho gaya sahra-e-dil ki jaise yahan
ghazal o zaigham o kargas kabhi rahe hi nahin
ab is maqam pe bim-o-raja hain be-mani
ki chahte hain use jis ko chahte hi nahin
yahi hai rasta ab duriyan baDhaenge
baDhin hum us ki taraf kaise fasle hi nahin
koi fareb ki hum jis se dil ko bahlaen
talash karte hain KHat us ne jo likhe hi nahin
(588) Peoples Rate This