Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae
tumhaare sath kai rabte nazar aae
ghamon ke daur talak silsile nazar aae
gira tha zehn ke dariya mein soch kar kankar
phir us ke baad kai daere nazar aae
jahan jahan pe tawaqqo thi manzilon ki hamein
wahan wahan pe nae raste nazar aae
har ek samt manazir the shahr-e-mazi ke
jidhar nigah uThi aaine nazar aae
safar kaThin to na lagta tha chahaton ka magar
jo chal paDe to kai marhale nazar aae
jahan pe Dub gaya tha wo shaKHs dariya mein
wahan se uThte hue bulbule nazar aae
hum apni jaan hatheli pe rakh ke ghar se 'nasim'
nikal paDe to kai moajize nazar aae
(537) Peoples Rate This