Tu Apne Pindar Ki KHabar Le Ki RuKH Hawa Ka Badal Raha Hai
tu apne pindar ki KHabar le ki ruKH hawa ka badal raha hai
teri nazar se bahakne wala fareb kha kar sambhal raha hai
yahi hai dastur-e-shahr-e-hasti ki jo naya hai wahi purana
hayat angDai le rahi hai zamana karwaT badal raha hai
rah-e-talab mein junun ne akasr shuur ko aaina dikhaya
jise tha uzr-e-shikasta-pai wo ab sitaron pe chal raha hai
hamein ye tane na do ki hum ne zamana-sazi ke gur na sikhe
ki rafta rafta mizaj-e-duniya hamare sanche mein Dhal raha hai
teri adaon ki sadgi mein kisi ko mahsus bhi na hoga
abhi qayamat ka ek karishma haya ke daman mein pal raha hai
kisi mein himmat na thi ki baDh kar junun ki zanjir tham leta
KHirad ki basti mein hai andhera charagh sahra mein jal raha hai
hazar shewe the guftugu ke hazar andaz the suKHan ke
magar ba-ima-e-dil 'faridi' fida-e-rang-e-ghazal raha hai
(670) Peoples Rate This