Muft Hai KHun-e-jigar Azmat-e-kirdar Ke Sath
muft hai KHun-e-jigar azmat-e-kirdar ke sath
ashk milte hain yahan dida-e-bedar ke sath
hum ne manga tha sahaara to mili is ki saza
ghaTte baDhte rahe hum saya-e-diwar ke sath
aaj to hazrat-e-naseh bhi lipaT kar mujh se
raqs karte rahe zanjir ki jhankar ke sath
dil-e-barbaad pe hai saya-fagan yaad teri
saya-e-fazl-e-KHuda jaise gunahgar ke sath
dil mein us shahr ke kuchh aks abhi baqi hain
luT gae hum bhi jahan garmi-e-bazar ke sath
aisi basti se to wo dasht kahin behtar tha
aable mil ke jahan rote the har KHar ke sath
ab to ek KHwab si lagti hai haqiqat ye bhi
rabt tha hum ko kisi yar-e-tarah-dar ke sath
dil mein mere bhi yaqin aur guman sath rahe
jaise inkar tere lab pe hai iqrar ke sath
aise anmol na the hum ki na bikte lekin
do qadam chal na sake apne KHaridar ke sath
hasil-e-fan hain 'faridi' wahi ashaar-e-ghazal
KHun-e-dil jin mein ho rangini-e-afkar ke sath
(587) Peoples Rate This