Dil-e-be-qarar Chala To Tha Gila-e-hayat Liye Hue
dil-e-be-qarar chala to tha gila-e-hayat liye hue
gham-e-ishq ruh pe chha gaya gham-e-kaenat liye hue
kabhi be-irada chhalak gai thi kisi ke zikr pe chashm-e-nam
wo hain mujh se aaj bhi bad-guman wahi ek baat liye hue
mere dil ke sath hi chhin le meri KHud-shanas nigah bhi
main tere qarib na aaunga ye tawahhumat liye hue
kabhi tujh pe apna guman hai kabhi KHud pe tera guman hai
mere kirdgar kahan rahun ye tasawwuraat liye hue
shab-e-intizar ke baad phir na hui tulu koi sahar
meri umr sari guzar gai yahi ek raat liye hue
tujhe naz-e-zabt baja sahi magar ai 'faridi'-e-sada-dil
koi chashm-e-shoala-mizaj hai tere dil ki baat liye hue
(563) Peoples Rate This