Tark In Dinon Jo Yar Se Guft-o-shunid Hai
tark in dinon jo yar se guft-o-shunid hai
hum ko moharram aur raqibon ko id hai
shayad hamare qaul pe hablul-warid hai
hum se KHuda qarib hai kaba baid hai
guzra mah-siyam na kyun panja-e-sharab
KHali ka chand ye nahin hai mah-e-id hai
shughl apna baada-KHwari hai aur tak silsila
pir-e-mughan bhi ek hamara murid hai
dil le chuke hain jaan bhi ab mangte hain wo
baiThe hain bigDe aur taqaza shadid hai
chal khol qufl aabla-e-pa ke ai junun
har ek zaban-e-KHar bayaban kalid hai
wahshat mein pairahan ki uDin dhajjiyan tamam
tan par qaba-e-dagh hai so nau-KHarid hai
sunta hun roz-e-hashr na hogi use najat
jo sayyadon se bughz rakhe wo yazid hai
aisa maza bhara hai tabiat mein faqr ka
ganj-e-shakar hai sina mera dil farid hai
'sayyah'-e-be-nawa hun jahan-gard hai laqab
gardish mein charKH-e-pir bhi mera murid hai
(624) Peoples Rate This