Kaun Sayyaad Idhar Bahr-e-shikar Aata Hai
kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai
tair-e-dil qafas-e-tan mein jo ghabraata hai
zulf-e-mushkin ka jo is shoKH ke dhyan aata hai
zaKHm se sina-e-majruh ka char jata hai
hijr mein maut bhi aai na mujhe sach hai masal
waqt par kaun kisi ke koi kaam aata hai
ab to allah hai yaran-e-watan ka hafiz
dasht mein josh-e-junun hum ko liye jata hai
Dub kar chah-e-zaqan sina mera dil nikla
qadd-e-adam se siwa aab nazar aata hai
muzhda ai dil ki masiha ne diya saf jawab
ab koi dam ko labon par mera dam aata hai
tegh si chalti hai qatil ki dam-e-jang zaban
sulh ka nam jo leta hai to haklata hai
turra-e-kakul-e-pechan ruKH-e-nurani par
chashma-e-aina mein sanp sa lahraata hai
shauq tauf-e-haram-e-ku-e-sanam ka din raat
surat-e-naqsh-e-qadam Thokaren khilwata hai
du-ba-du aashiq-e-shaida se wo hoga kyunkar
aaine mein bhi jo munh dekhte sharmata hai
saKHt pachhtate hain hum de ke dil us ko 'sayyah'
apni afsos jawani pe hamein aata hai
(685) Peoples Rate This