Kabhi Idhar Jo Sag-e-ku-e-yar Aa Nikla
kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla
guman hua mere virane mein huma nikla
ruKH us ka dekh hua zard nayyar-e-azam
sunahre burj se jis dam wo mah-laqa nikla
wo sun ke pak mohabbat ka nam kahte hain
hamari jaan ko lo ye bhi parsa nikla
hamare panw paDe aa ke aable har gam
kabhi jo dasht-e-junun mein barhana-pa nikla
mah-e-siyam mein aaya jo wo hilal-abru
guman hua ye mujhe chand id ka nikla
jahan ki sair to ki tu ne lekin ai shah-e-husn
kabhi faqir ke takiye pe tu na aa nikla
na nikla wahm ke mare wo ghar se bhi 'sayyah'
gali se yar ke tabut jab mera nikla
(533) Peoples Rate This