Jab Se Dekha Hai Bana Gosh-e-qamar Mein Tinka
jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka
phans ki tarah khaTakta hai jigar mein tinka
neza-bazi pe hamein apni na dhamka ai turk
hum samajhte hain ise apni nazar mein tinka
aatish nala-e-bulbul ye chaman mein bhaDki
na bacha nam ko sayyaad ke ghar mein tinka
KHar-e-mizhgan ko nazar bhar ke na dekha main ne
paD gaya uD ke mere dida-e-tar mein tinka
sun ke aamad teri aaankhon se uTha lete hain
dekhte hain jo paDa rahguzar mein tinka
gird us bahr-e-safa ke main phira karta hun
rahta hai gardi mein jis tarah bhanwar mein tinka
aah-e-sozan ne jalae tere jangal 'sayyah'
nam ko bhi na raha ek shajar mein tinka
(615) Peoples Rate This