Apne Hi Dam Se Hai Charcha Kufr Aur Islam Ka
apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka
gah aabid hun KHuda ka gah pujari ram ka
loTte hain jis ko sun sun kar hazaron murgh-e-dil
ho raha hai zikr kis ke gesuon ke dam ka
chashm-e-mast-e-yar ka ham-chashm lo paida hua
dekhna ab post khincha jaega baadam ka
sair karta hai wo aalam ki mera paik-e-nigah
lakh hai be-dast-o-pa lekin hai phir sau kaam ka
sar juda tan se kiya ek hath mein jallad ne
naqd-e-jaan dije kiya us ne ye kaam inam ka
hain shah-e-malk-e-junun sahra hai apna taKHt-gah
tan pe har dagh-e-junun sikka hai apne nam ka
jald nam apna bata de jaise banda hun tera
wasta deta hun main ai but KHuda ke nam ka
but-parasti ki bahut 'sayyah' ab kar yaad haq
shughl-e-maula mein rahe banda wahi hai kaam ka
(623) Peoples Rate This